Rishtay jo pyar ke thay sabhi choot-tay gaye?
Bandhan bhi saaray zabt ke phir toot-tay gaye?
Khawab-o-khayal ban gayen yaaron ki mehfilen?
Ek ek kar ke yaar sabhi rooth-tay gaye?
Sab dard dil main bhar liye sukh ki talash main?
Hamdard ban ke log hamain loot-tay gaye?
Milti rahin sazayen hamain pyar ke aiwaz?
Apni hi Khawahishon ka gala ghont-tay gaye.. |